Mera ka maanna hai ki "kisi insaan ko uski mushkil ghadi mein akela nahi chhodna chahiye. Isi soch ke saath, main ek cancer patient ke treatment aur care ki zimmedari le raha hoon.
Mera koshish sirf aaj ke treatment tak limited nahi hai. Main chahte hoon ki jab tak woh cancer se recover karke healthy life ki taraf wapas na aaye, tab tak main uske saath khada rahunga. Treatment, zaroori medical support aur jitni bhi possible help ho sake main apni taraf se dene ki koshish karunga.
Main janta hoon ki cancer ka safar aasaan nahi hota. Kabhi reports tension deti hain, kabhi treatment mushkil lagta hai, aur kabhi hope bhi kam padne lagti hai. Lekin kabhi kabhi kisi ke liye “main tumhare saath hoon” kehna bhi ek bahut badi taqat ban jaata hai.
Main kisi ehsaan ki baat nahi kar raha. Main bas ek insaan ki zindagi ko importance de raha hoon.
Mera prayer hai ki woh treatment ke is safar ko himmat ke saath poora kare, cancer ko haraaye aur ek healthy, peaceful aur khush zindagi dobara jee sake.
Insaniyat, zimmedari aur kisi ki zindagi mein umeed ban kar khade rehna hai.
This is a system-generated cheque for accounts management, not an original cheque.

